Islamic Quotes in Roman English – Islamic Quotes For Success Life
Islamic Quotes in Roman English – Islamic Quotes For Success Life
“A Good Man Treats Women with Honour.”
“A sin that causes submission is better in the Sight of Allah than a good deed that causes pride.”
“Allah loves those who act aright.”
Imam Hazrat Ali Quotes & Sayings
Agar Tum Pahaad Se Girey To Ye Tere Liye Itna Nuqsan-Deh Nahi Jitna Ke Tu Kisi Ki NAZRON Se Gir Jaye.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuGareeb Ki Madad Karo, Uska Dil Na Dukhao, Aur Uska Ehsas Karo. Kyu K Ghareeb Hone Mein Zyada Waqt Nai Lagta ..!
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuKisi Ki Madad Karte Waqt Uske Chehre Ki Jaanib Mat Dekho, Ho Sakta Hai Uski Sharminda Aankhein Tumhare Dil Me Ghuroor Ka Beej Bo De.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuJis ka Rabita Allah Se ho Wo Naakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuJab Tumhari Jaan Ko Khatra Ho To Sadqa De Kar Jaan Bachao Aur Jab Tumhare Deen Ko Khatra Ho To Jaan De Kar Deen Bachao..
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuJab Tum Duniya ki Muflisi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa diya karo aur ALLAH se Tijarat karo.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuApne Din Ka Aaghaz Sadqa Dene Se Shuru Karo. Us Din Tumhari Koi Dua Radd Nahi Ki Jayegi Aur Acchi Baat Batana Bhi Sadqa Hai.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuDaulat Milne Par Log Badalte Nahi, Balki Be-Naqaab Hote Hai.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuYeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuMujhe Dua Qabool Hone Ki Fikr Nahi, Mujhe Sirf Dua Maangne Ki Fikr Hai. Kyunki Jab Mujhe Dua Maangne Ki Taufeeq Hogayi Hai To Qabooliyat Bhi Uske Sath Hasil Hojayegi.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuRab Se Jab Bhi Maango, Accha Mukaddar Maango, Mene Bade Bade Akalmando Ko, Mukaddar Walo Ke Aage Zhukte Dekha Hai.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuJis Tarah Shabnam Ke Qatre Murjhaye Hue Phool Ko Taazgi Dete Hai, Usi Tarah Acche Alfaz Mayus Dilon Me Roshni Bharte Hai.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuAcche Logon Ki Ek Ya Nishani Bhi Hai Ki Unko Yaad Rakhna Nahi Padta Wo Yaad Reh Jate Hai.
– Hazrat Ali Radiallahu AnhuInsan Ka Kirdar Us Ki Zuban K Niche Poshida He Agar Kisi Shakhs Ke Kirdar Ka Pata Lagana Ho To Usko Sakht Ghusse Ki Halat Main Dekho.
– Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Aqwal E Zareen Hazrat Ali About Life
Guftgoo Aisi Chez hy Jiski wajah se Insan :
1. Ya to Dil me Utar Jata hai.
2. Ya Phir Dil se Utar Jata hai.
– Imam Ali Radiallahu AnhuAgar Kisi ka Zarf Aazmana ho to use Zyada Izzat Do, Wo Aala Zarf Hua to Aap ko aur Zyada Izzat Dega. Aur Agar Kam Zarf hua to Khud ko Aala Samjhega.
– Imam Ali Radiallahu Anhu3 Rishte 3 Waqt Main Be-Naqaab Hojate Hai.
Budhape Mein Aulaad,
Musibat Mein Dost
Aur Ghurbat Me Biwi.
– Imam Ali Radiallahu AnhuHar Kisi Ko Itni Ehmiyat Do Jitni Wo Tumko Deta Hai. Agar Kam Doge Ghamandi Kehlaoge Aur Agar Zyada Doge Khud Ghir Jaoge.
– Imam Ali Radiallahu Anhu
Hazrat Ali Quotes about Friendship
Wo Log kisi k Nahi hote Jo Dost or Rishty ko”Libas” ki tarha badalte hain.
– Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu AnhuJo Zara Si Baat Pe Dost Na Rahe Samajh Lena Wo Dost Kabhi Tha Hi Nahi.
– Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu AnhuBura Dost Aag Ki Tarah Hai, Agar Jalta Hai To Aapko Bhi Jala Dega Aur Agar Bujha Hai To Apke Haath Kale Kar Dega.
– Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu AnhuKhaas aur Aam Dost Me Itna hi Farq hota Hai; Aam Dost Sirf Tareef Karta Hai. Lekin Khaas Dost Tareef ke Saath-Saath Tanqeed bhi Karta Hai.
– Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu AnhuDost Ki Koi Baat Buri Lage To Khamosh Hojao. Agar Wo Dost Hai To Use Us Baat Ka Ranj Hoga. Aur Agar Na Hua To Tum Samjh Lena Ki Wo Tumhara Dost Nahi.
– Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu AnhuMujhe Wo Dost Pasand Hai Jo Mehfil Me Meri Ghalatiyan Chupaye Or Tanhai Me Meri Ghalatiyon Par Tanqeed Kare.
– Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu AnhuInsan ke Bimaar Hone Ki Ek Badi Wajah Doston Ki Judai Hai.
– Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu AnhuMusibat Me Ho To Kabhi Yeh Na Socho Ki Kaunsa Dost Kaam Aayega Balki Yeh Socho Ki Ab Konsa Dost Chhod Ke Jayega.
– Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu
Hazrat Ali Quotes about Death
Insaan Gunah Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Nahi Jata Balki Gunah Par Mutmaeen Rehne Aur Tauba Na Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Jata Hai.
– Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu AnhuSab Se Badi Bahaduri Sabr Karna Hai.
Sub Se Badi Bala Na Umeedi Hai
Sab Se Badi Tafreeh Masrufiyat
Sub Se Bada Ustad Tajruba
Sab Bada Faida Naik Aulad
Sub Bada Tohfa Dar Guzar Karna
Sab Bada Sarmaya Khud Etmadi
Aur
Sub Se Bada Raaz Maut Hai …!
– Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu AnhuInsan Apni Zindagi Mein har chiz ke piche bhagega magar do(2) chize uska picha karegi. (1) Uski Rozi (2) Uski Maut.
– Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu AnhuHazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Farmaya Jo Gaali Tum Gusse Mein Ya Mazak Mein Dete Ho Woh Tumhari Qabr Ke Liye Ek Bicchu Ban Jata Hai.
Hazrat Ali Quotes in Hindi
Insan ke Aansu Us Waqt Muqaddas Hote Hai, Jab Wo Kisi Aur Ki Takleef Mehsus Kar Ke Nikle.
– Imam Ali Radi Allahu AnhuDuniya Me Kabhi Kisi Acche Insan Ko Talaash Mat Karo, Balki Khud Acche Ban Jao. Ho Sakta Hai Ki Tumhare Is Amal Se Kisi Aur Ki Talaash Khatam Ho Jaye.
– Imam Ali Radi Allahu AnhuTum Accha Karo Aur Zamana Bura Samjhe Yeh Tumhare Haq Me Behtar Hai Bajaye Iske Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Accha Samjhe.
– Imam Ali Radi Allahu AnhuApno ko Hamesha Apne Hone ka Ehsaas Dilate Raho warna Waqt Aapke Apno Ko Aap ke Bina Jeena Sikha Dega.
– Imam Ali Radi Allahu AnhuJab Bhi Farig Waqt Mile To Apni Maa Ke Paas Ja Ke Baitha Karo, Kyunki Maa Ke Saath Guzara Hua Waqt Qayamat Ke Din Nijat Ka Baa’is Banega.
– Imam Ali Radi Allahu AnhuHar Woh Din Tumhare Liye Eid Hai Jis Din Tum Apni Maa Se Muskura Ke Baat Karo.
– Imam Ali Radi Allahu AnhuAgar Koi Accha Lage To Us Se Kam Mila Karo, Agar Koi Zyada Accha Lage To Us Se Sirf Dekha Karo Aur Agar Koi Dil Me Utar Jaye To Use Sirf Yaad Kiya Karo.
– Imam Ali Radi Allahu Anhu