Jumma k Din Nakhun Katna – nakhun katne ka sunnat tarika
Jumma k Din Nakhun Katna – nakhun katne ka sunnat tarika
Nakhun Katne Ka Tarika
Nakhun katne ka sunnat tarika batane se pahle main apko ye batlata chaloon. Ke nakhun katne ki koi aisi khas dua Hadees se sabit nahi hai.
Chahe dono hathon ke ho ya phir paaon ke nakhun ho. Inhe taraashna nek amal bhi ban sakta hai. Yani safayi ki safayi aur sawab ka sawab. Zyada mushkil nahi hai.
Hazrat Abdullah bin Umar Razi ALLAHu Ta’ala ‘Anhu Nakhun Katne Ka Sunnat Tarika ke bare me riwayat karte hai hai Ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya moo-e-zer naaf moondna, nakhun tarashwana aur moonchh katrana paidaishi sunnatein hai. Saheeh Al-Bukhari Hadees | No. 5890
Nakhun Kab Nahi Kaatne Chahiye?
Ummul Mumeneen Umm Salmah R.A. se riwayat hai ke
Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaya,
Jo maah zil hijjah ka chand dekhe aur qurbani karna chahta ho wo (jab tak qurbani na karle) apna baal aur nakhun na kaate.
Imam Tirmizi kahte hai ye Hadees Hassan Saheeh hai.
Jam’e At-Tirmizi | Hadees No. 1523 | Darja: Saheeh Darussalam