Miswak Istemal Karne Ka Tariqa ,Niyyat, Fayde

Miswak Istemal Karne Ka Tariqa ,Niyyat, 63 Fayde

Miswak Kya Hota Hai?

Yun to miswak ek mamumil darakht ki jad se banayi jati hai jo chhoti si aur dandinuma hoti hai. Jise danton ki safayi ke liye aage sire se chabakar brush ki tarah bana liya jata hai. Zarur dekhiye

Miswak aam taur par ‘Salvadora Persica’ ped ki jade hoti hai. Jise Peelu ka ped bhi kahte hai.

Zyadatar miswak peelu ki lakdi ki hoti hai jiske bahot tibbi fayde hai. Doctors ne bhi ise confirm kiya hai. Is Lakdi me aisa maadda hota hai ke iske istimal se danton ke hi nahi balki jism ke aur bhi jumla amraz se shifa milti hai.

Miswak Karne Ki Niyyat

A’amaal ka daromadar niyyaton par hai. Achhi niyyat na ho to sawab nahi hashil hota. Lihaza miswak karte waqt ye niyyat kar lijiye:

Sunnat ka sawab kamane ke liye miswak karunga. Aur iske zariye ALLAH Ta’ala ka zikr, durood ki kasrat, tilawat-e-Quran ke liye munh ki safayi karunga. Afzal hai bismillah parhkar miswak karna shuru karein.

Miswak Karne Ki Dua:

ALLAHumma Tahhir Famee,

Wa-Navvir Qalbee,

Wa-Tahhir Ba-da-nee,

Wa-‘Harrim Ja-sa-dee ‘Alannaari,

Wa-ad-khilnee birahmatika Fee ‘Ibadika-s-Saliheen

Miswak Istemal Karne Ka Tariqa

Miswak karne ki sunnatain kya hai? Sunnat tariqe se miswak karne walon ko bahot fayde hasil hai.

  1. Miswak karne se pahle use achhi tarha dho len.
  2. Miswak ko sirf ek taraf se istemaal karein na ki dono taraf se. Yani ek hi sire se wo chhili hui ho.
  3. Aap chahen to miswak dhote-dhote durood sharif ka wird bhi kar sakte hai.
  4. Miswak ko is tarah se pakden ke chhoti (chhiti) ungli miswak ke pichhe (neeche) ki taraf ho, aur beech ki teen (3) ungliyan aage (upar) ki taraf aur angotha bhi pichhe ki taraf ho.
  5. Miswak dahine aur upar ki taraf se karna shuru karein. Teen-teen (3-3) martaba karen. Phir upar ke bayein taraf 3-3 martaba karein. Phir usi tarah niche ki dahine taraf 3 martaba se shuru karein aur phir niche ki bayein taraf 3 martaba karein. Har bar ise dho len.
  6. Miswak karne ke baad use phir se dho lein. Kahin hifazat se khadi karden. Ya apne kapdon ke jeb mein rakhlen. Aap ﷺ har waqt apne pas miswak rakhte the.  Fatawa Shami me hai baaz sahaba ikram ‘AlayhimurRizwan Imama shareef ke pech me bhi miswak rakhte the. (Raddul Mukhtar)
  7. Miswak ke chile hue hisse jin reshon se ham danton ko saf karenge. Un reshon ko thode-thode din me danton se chabakar chheel liya karein. Taki naye reshe nikal aye. Is tarah se purane reshon ke toot jane par unpar jami danton ki gandgi bhi chali jati hai.
  8. Muthhi bandhkar miswak karne se bawaseer hone ka andhesha hai.

Miswak Ke 63Fayde

Miswak Ke 63Fayde
Miswak karne ka tariqa agar sahi ho to iske beshumar fayde hai. Inme se 63 main yahan darj kar raha hoon.

Yun to miswak kisi bhi darakht ki ho iske fayde yaqinan milte hai. Lekin makhsoos bimariyon ke liye ALLAH Ta’la ne kuch darakhton aur paudhon mein khusoosan shifa rakhi hai.

1:Badaam Aur Akhrot ki Miswak:

1:Danton ki sehat ke liye shifayab sabit hoti hai.

2:Nazar ki kamzori ke liye bahut fayde mand sabit hoti hai.

2:Peepal Ki Miswak:

3:Khooni bawaseer ke mareezon ke liye shifayab hai.

4:Tuberculosis (T.B.) ke marz se shifa milti hai.
5:Alsar ke mareezon ke liye bahut fayedemand hai.

5:Neem Ki Miswak:

6:Agar badan ya chehre par phude ya phonsi hote hon.

7:Danton mein kide lag jaye.

8:Munh se badboo ate ho.

9:Munh se jhaag ate ho.

10:Badan mein khujli yani kharish hoti hon.

To in sari bimariyon se shifa pane ke liye neem ki miswak bahut mufeed sabit hogi. Insha ALLAH

4:Zaitoon Ki Miswak:

11:Yeh Miswak dusre Miswak se mukhtalif hoti hai. Kyunki iske istemal mein aapko kudrati jhaag milegi.

12:Aur yeh muh ka zaiqa durust karti hai.

13:Muh ke har masail jaise muh se badbo ana, dant dard hona wagaira se nijat pane mein mufeed sabit hogi.

5:Pilu ki Miswak:

14:Sans ki naliyun sozish ke liye.

15:Sans ki takleef ke liye bhi isko istemal kiya jata hai.

16:Rasoli, pathri, gurda masana ki pathriyun ke liye bhi bahut mufeed hai.

17:Kayi tarha ke manjan me iska istemaal hota hai. Zarur dekhiye→ Blood Pressure Ka Wazifa

18:Iska miswak danton ki safayi ke liye bahut achha sabit hota hai.

6:Danton Ka Pilepan:

19:Jo daag chayi, coffee ya tambaaku se pad jate hai. Miswak ke istemaal se wo daag dhire-dhire kam hote jati hai.

7:Nashe Ki Lat:

20:Agar Aap tambaaku, cigarette waghairah ke aadi hai to miswak in sab adaton se pichha chhudane mein aapke behad kaam aa sakti hai.

21:Miswak badan ko taqat puhcha kar badan mein phurti lati hai.

22:Miswak karne se ALLAH Ta’ala ki khushnoodi hasil hoti hai.

23:Zindagi bhar sunnat par amal karne ka azeem sawab hasil hoga.

24:Munh se ane wali gandi badboo khatm hoti hai.

25:Balgham khatm hota hai.

26:Raat ko sone se pahle miswak karne se ankhon ki roshni badhti hai. Zarur dekhiye→ Ankhon Ki Roshni Ki Dua

27:Dant jagmagate aur saaf rahte hai.

28:Khana khane ke baad Miswak karne se danton ka pila pan jata rahta hai.

Miswak Mein Kaun-Kaunse Chemical Maujood Hai aur Iske Fayde Kya Hai?

29:Silica: Danton mein jo daag dhabbe (plague) aa jate hai use khatm karne mein bahut achha kam karti hai.

30:Vitamin C: Miswak mein vitamin C hota. Hamare munh mein jo lining hoti hai jise ham oral mucous membrane kahte hai Vitamin c is membrane ko heal karti hai aur fayde pahunchati hai.

31:Sodium bicarbonate: Miswak mein Sodium bicarbonate paya jata hai. Yeh bhi danton ke daag ko khatm karta hai. Danton aur masudon mein jaraseem (bacteria) hote hai yeh unhe marte hai.

32:Tannic Acid: Danton se khoon nikalne par tannic acid us khoon ko rukti hai. Munh ke chhalon ko khatm karti hai. Chhalon ko hone se bachati hai.

33:Alkaloids: Bazaar mein jo bhi toothpaste ya mouth wash ate hai wo sirf jaraseem ko badhne se rokte hai. Lekin miswak mein aise-aise chemical payen gaye hai jo jaraseem ko maar sakte hai. Aur jab jaraseem hi nahi honge to munh aur danton ke marz hone ka dar khatm ho jayega. Zarur dekhiye→ Wazifa For Migraine

34:Essential oils: Miswak mein kuch aise tel (oils) hote hai jo hamare munh ane wale thook mein mil jata hai jo hamare munh ke bacteria ko door karne mein mufeed hai.
Benzyl isothiocyanate: Yeh jaraseem (bacteria) ko khatm karne ki taaqat rakhta hai.

35:Kamar ke dard peeth ki haddiyon ka hil jana aur jism ke tarha-tarha ke dard ka ta’alluq daton ki safayi se hai. Agar kamar ke dard aur judon ke dard ke mareez ko din 22 martaba miswak karwayi jaye. To in dardon se shifa mil sakti hai insha ALLAH.
Miswak mayda dusurt kart hai. Khane achhe tarha se hazam ho jati hai.

36:Dimag tez kart hai, zehan badhati hai.

37:Zaban mein quwwat paida karti hai.

38:aut ke waqt ki pareshaniyon se mein asani paida karti hai.

39:Miswak karne se muh se achhi khushboo ati hai. Jo Aapko kisi toothpaste ya mouth wash mein nahi milegi.

39:Miswak naak ko saaf karta hai.

40:Miswak karne ke baad aapko khud ko taza (fresh) mehsoos karenge.

41:Phefdon ke ander wale balgham ko bhi nikalti hai.
Gale ki kharish khatam karti hai.

42:Masudon (gums) mein khoon ki gardish (blood circulation) paida karti hai.

43:Danton mein dard rahta ho to Miswak ke musalsal istemal se dard khatm ho jata hai. Zarur dekhiye→ Dant Dard Ka Ilaj

44:Masudon ki soojan ko door karti hai.

45:W.H.O (World Health Organization) ne Miswak ki shifarish (recommend) ki hai. Aur mana hai ke miswak mein wo chemical maujood hai jo bina nuksan ke iska jetna istemal karein isse danton aur jism ko faida hi hoga.

46:Miswak farishton ko khush rakhti hai.
Miswak karne wale se shaitan naraz hota hai aur shaitan door ho jate hai. Zarur dekhiye→ Shaitani Waswasay Ki Dua

47:Miswak balon badhati hai.
Miswak karne wale par budhapa der se ati hai.

48:Miswak se badan ka dard dor hota hai.

49:Miswak mani (sperm) ko gadha karti hai.

50:Miswak chehre Or jism ko raunak deti hai aur rang ko nikharti hai.

51:Miswak sar (head) ke dard ko door karne mein mufeed hai. Zarur dekhiye→ Sar Dard Ki Dua

52:Miswak karne wala jis din Miswak na kare to usdin ke liye bhi sawab likh diya jata hai.
53:Miswak shaitan ke waswase se bachati hai.

54:Miswak choonki sunnat hai isliye nekiyon ko badhati hai.
55:Purane jakde huye nazle (cough) ko nikalti hai.

56:Miswak se kano (ears) ke amraz se shifa me madad milti hai.

57:Babool ki miswak: Danton ko sehatmand rakhti hai.

58:Keekar Ki Miswak: Isse hilte huye kamzor danton mein taqat aa jati hai aur wo apni jagah par mazbuti se jam jate hai.

59:Aur dant safed hokar deegar amrazon se mehfuz ho jate hai.

60:Miswak awaz ko saaf karti hai.
61:Miswak karna rizk mein barkat ka sabab banti hai.

62:Miswak badan ko taqat puhcha kar badan mein phurti lati hai.
Miswal karne se ALLAH ki madad ati hai. Zarur dekhiye→ Dua For Help From ALLAH

63:Miswak karne se danton ki jado me cavity nahi jamti. Jiski wajah se thanda-garam aur cheesen chalti.

 

Miswak Karne Ke 7 Nuqsan

Miswak ke kuch nuqsanat bhi ho sakte hai. Aapne kabhi iska tasavvur bhi na kiya hoga. Hamne tafteesh kar iske kuch mumkin nuqsanat aapke liye dhoondh nikale hai.

Ghalat tareeqe se miswaak karne ke kuch nuqsanaat hone ka andesha rahta hai. Jante hai wo kya hai?

  1. Miswak muththi bandh kar ya muththi mein pakad kar nahi karein.
      • Kyunki yeh sunnat ke mutabik nahi hai aur isse bawasir hone ka kafi had tak andesha hai.
  1. Miswak ke istemaal ke baad use sula kar yani use lita kar na rakhein.
      • Yeh aqal ki kamzori ka bayis ban sakta hai.
  1. Kisi aur ke munh ka istemaal kiya hua miswak kisi dusre ko nahi istemaal karna chahiye.
      • Isse bhi aqal ki kharabi ya kami ho sakti hai.
  1. Aur waqt dar waqt miswak ke jo reshein hote hai unhe chaba kar hata dene chahiye.
      • Dantoon karne ke par jo bhi cavities miswak mein aa jati hai. Reshein saaf na karne par wo cavities miswak se dubara danton mein aa sakti hai.
  1. Miswak ek balish (ek hath) se badi na ho.
      • Alimon ki kitabon me darj hai ke iske dusre kinare par phir shaitan baitha karta hai. Miswak zyada chhoti bhi na ho ke sunnat ke mutabik na rahe.
  1. Bayt-ul-khalaa (toilet) mein iske reshein na bahaye.
      • Yeh miswak sharif ki be-adbi ka sabab ban sakta hai. Beh jane se koyi gunah nahi hai lekin adab karne se sawab hasil hoga. Insha ALLAH.
  1. Miswak ke reshon ko munh se nikaalna hi durust hai.
      • Use qatayi nigle nahi, pait me na jane dein. Yeh Aapke maide (pait) ko nuqsan puhcha sakti hai.