Tahajjud ki Namaz ka Tarika ,Niyyat,Fazilat

Tahajjud ki Namaz ka Tarika ,Niyyat,Fazilat

Tahajjud ki Namaz ka Tarika ,Niyyat,Fazilat

Tahajjud Ke Fazilat

Hazrat Abu ‘Huraira RadiALLaHu ‘Anhu se riwayat hai:

RasoolALLAH Mu’hammad Mustafa ﷺ ne farmaya:

“Humara parwardigar buland barkat wala hai. Har raat ko us waqt asman-e-duniya par aata hai, jab raat ka akhri tihayi hissa reh jata hai, wo kehta hai.

Tahajjud Ki Namaz Ki Niyyat Karne Ka Tarika

Tahajjud ki namaz ek nafil namaz hai. Par Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ki sunnat hai. Iski niyyat is tareeqe se ki jati hai.

Niyyat karta/karti hoon main do (2) rakat nafil Salat-ul-Tahajjud ki sunnate Rasool paak ki waste ALLAH Ta’ala ke rukh mera Ka’ba Shareef ke tarf ALLAHu Akbar.

Tahajjud Mein Kaunsi Suratein Padhni Chahiye?

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ Tahajjud ki namaz mein badi surah padha karte the. Magar hum aajke daur mein itni badi suratein yad nahi kar pate.

To ek shakhs koyi si bhi surat (surah) padh sakta hai. Jaise ki surah Qadr ya surah Feel. Aur jo ek shakhs ko asan lage.

Tahajjud ki Namaz Mein Kitne Rakatein Padhna Zyadah Afzal Hai?

Tahajjud nifl namaz hai. Aur kam se kam do (2) rakat aur zyada se zyada aath (8) rakat padhi ja sakti hai. Har do (2) rakat ke baad salam pheri jayegi. Is tareeqe se agar koyi shakhs aath (8) rakat Namaz-e-Tahajjud ada karta hai. To chaar (4) salam pheri jayegi.

Kya Tahajjud Ki Namaz Ke Liye Sona Zaroori Hai?

Yeh ek bada hi aam sawal hai. Jo aksar hi log puchhte hain. Tahajjud ka asal waqt dar’asal raat ka ek tihayi hissa hai. Isliye sabse afzal hai ki, ek shakhs Isha ke bad so jaye aur adhi raat ko uthkar Tahajjud ki namaz ada kare.

Aisa karne se bahut zyada ajar-o-sawab milega aur dua ki qubooliyat ke zyada imkanaat (chances) hain.

Lekin agar koyi shakhs raat neend se bedar (jaga) hai use neend nahi aa rahi hai. To wo chahe to bina soye Tahajjud ada kar sakta hai. Lekin ise humesha ki adat nahi banani chahiye.

Tahajjud ki fazeelat aur barkatein hasil karne ke liye raat ke ek tihayi hisse mein Ibadat karna zaroori hai.

Tahajjud Ka Waqt Kab Hota Hai?

Aam taur par log yahi sawal karte hai ke tahajjud ki namaz ka time kya hai?

Tahajjud ka waqt Isha ke bad se shuru hokar subah sadiq tak rehta hai. Lekin Tahajjud ki Namaz raat ke ek tihayi hisse mein ada karna sabse afzal hai. Aur sunnat hai.

 

Ads

Most Popular

Ads