Treatment of Belly Pain Ubqari Wazaif Totkay
پیٹ کےدرد کا روحانی علاج
حسب ضرورت تھوڑا سا نمک لےکر اس پر سورۂ کوثر3 بار معہ تسمیہ اول و آخر درودشریف ایک بار پڑھ کر دم کر کے کھلا دیں
اللہ کے نام سے شروع جو نہایت مہربان رحم والا ۔اے محبوب بے شک ہم نے تمہیں بے شمار خوبیاں عطا فرمائیں۔ توتم اپنے رب کے لئے نماز پڑھو ۔اور قربانی کرو۔ بے شک جو تمہارا دشمن ہے وہی ہر خیر سے محروم ہے۔
پیٹ دردکاطبی علاج: کالا نمک سفوف بقدر ایک چنے کے نیم گرم پانی کے ہمراہ کھلا دیں آرام آ جائے گا۔
PAIT DARD KI WAJUHAT in English
1. Gluten Waaly Khany
Agar aapko pait dard (Stomach pain) rehti hai or pait main gas bharny k sath sath pechish ka bhe masla darpesh hai to ye is baat ka ishara hai ke aapko gluten allergy (celiac disease) hai. Is bimari ka baqaida ilaj hona bohat zaroori hai. Qudarti tor par gluten tamam anaaj or ajnaas main paya jata hai, maslan gandam, dalya, or suji in main gluten ki miqdar baqadry dusry anaaj or ajnas k zyada hoti hai. Kuch logon ko gluten sy allergy ho jati hai jiski waja sy pait phoolna shuru ho jata hai or kuch ko pait main shadeed dard or paichish ki alamat shuru ho jati hain. Aam tor par pait dard gas ki wajah sy bhi hoti hai jis ke liye gas ka ilaj intehai mujarrab hai.
2. Fiber Waaly Khany
Jin logon ko qabz ka masla hota hai un logon ko aksar muaalij hazraat fiber waly khany tajweez karty hain. Jab k wo mareez jin ko halki qabz k sath bar bar pakhana ki hajat hoti hai or pait main dard hota hai or gas rehti hai unky lye fiber waly khany bohat he nuqsaan deh hoty hain.
3. Choti Aant Main Bacteria
Agar choti aant main bacteria paida ho jaye tab bhe pait dard (stomach pain) jesa mehsus hota hai or is main darj zel bemariyan aap ko gher sakti hain;
Pait main mustaqil dard rehna,Wazan main kami,Gas ka masla,Khoon ki kami,Neend ki ziyadati,Jismani thakawat
Ye bemari antibiotics adwiyaat k istemal sy theek ho sakti hai, lekin iski darust tashkhees k lye kuch test kiye jaaty hain jin k baad he apka mualij apko behtar tariqa e ilaj tajweez karta hai.
4. Pitta (Bladder) K Masail
Baaz okaat pitty sy nikalny waly ghair zaroori mawad ki waja sy pait main dard or gas jesy masail paida ho jate hain. Agar hamara pitta tezabi mada kharij karne lage to pait main dard rehne lagti hai or dekha gaya hai k ye masla aksar raat k waqt pesh aata hai. Mareez ko tezabiat sy bharpoor dikaar aana bhe aisi bimari ki alamaat main sy aik hai.
5. Aant Ki Sozish
Agar apka wazan kam hogaya hai or pakhana karty hue pait main dard mehsus hoti hai or pakhana patla ata hai to ye is baat ki alamat hai k aapki aant main sozish hai. Aant aapky khany main mojud pani ko sahi tarha sy jazab nhe kar pati or pakhana bohat patla ho jata hai. Ye bemari aksar cigarette peeny waly hazraat main dekhny main ati hai. Ye bemari fori tor par mualij ki tawaju main lain.
PAIT DARD KE LIYE DESI TOTKAY
Adrak ki jr ko nhiat choty choty tukro mein kaat kr leemoo k rus mein do ghnty ky lyey bhigo dein. jb bhi gas ka msala darpaish ho do tukry kha lain.
Elaichi k powder ko ek glass pani ke sath pein foree aram a jye ga
Koshish kijyey k jin khwateen o hzrat ko gas ka masala hy wo tali hui yani fried cheezon sy ijtinab karain.Haldi ka khano mein istimal gas ki problem ko khatm krta hy koshish krein ky haldi khano mein ziada istimal krein
Peppermint powder gas ky masale ky liye bohat mufeed hy
Pani zyada peene sy bhi gas ka masala door hota hy
Koshish kijye ky khany ky bad foran bed par na laitain balky kuch qadam chal kar apny nizam e inhizam ko active karain ta k aap ka maida khorak ko hazam kar saky Carbonated drinks sy mukamal parhaiz karain
Ubly hue pani mein adrk ki jarain (roots) ko daal kr mazeed ubalein or shehad (honey) daal kr istemal karain.Lehsan (Garlic) ka soup bhi maiday or gas k masail k liye aik ahm totka hai.