Aqwal E Zareen
New Aqwal e Zareen in Urdu – 10+ Golden Words by Aqwal e Zareen
New Aqwal e Zareen in Urdu means golden words, wise sayings or quotes by the famous personality or by a nation. The Aqwal e Zareen has a great deep and authentic meaning.
Read also: Saadi Quotes in Urdu
New Aqwal e Zareen in Urdu Images
Apna khayal bhi eham hai lekin
Sab se eham khayal is ka hai
Jis ne tujhe sahib khayal banaya.
Momin wo nahi jis ki mehfil pak ho
Momin wo hai jis ki tanhai pak ho
Insaan ko achi soch pe wo inaam milta hai
Jo ise ache aamal pe bhi nahi milta
Kyun Kay soch me dikhawa nahi hota .
Hamesha sache logo se dosti rakho
Kyuenke wo ache dino me sarmaya
Or bure dino me muhafiz hotey hain
ilm wo nahi jo aap ne seekha hai
ilm to wo hai
Jo aap ke amal-o-kirdaar se zahir ho
Read also: Jumma Mubarak Status
Zamane ka shikwa na karo balke khud ko badlo
Kyuenke! paon ko gandagi se bachane
Ka tareeqa jota pehanna hai
Na ke saare shehar me qaleen bichana
Insaan ko is ki buraiyoun samet qabool karne wala hi
Is ka sacha dost hota hai kyuenke
Khubiyaan to dushman ki bhi mutasir karti hain.
Logo ke saamne muskuratey raha karo
Or Allah ke saamne gir gira kardiya karo
Kyuenke duniya muskurane walon ko pasand karti hai
Allah rone walon ko
Dolat ka behtareen musrif ye hai ke
Is se izat o aabro ko bar qarar rakho.
Behtareen insaan amal se pehchana jata hai
Achi batain to deewaron pe bhi likhi hoti hain
Tum pani jese bano Jo apna raasta khud bana leta hai
Pathar jese mat bano Jo dusroon ka raasta bhi rok leta hai
Jo shakhs tumhara ghusa bardasht karley
Or wo sabit qadam rahe to wo tumhara sacha dost hai
Jeet ki adaat achi hoti hai
Lekin kuch rishtoon me haar jana hi behtar hota hai
ilm ka ek qatra jahalat ki samandar se behtar hai
Or amal ka ek qatra ilm ke samandar se Afzal hai
Ghalti maanne or gunah chorne
Me kbhi deer mat karo
Kyuenke safar jitna taweel hota jaye ga
Wapisi itni hi dushwar hogi.
Jismani amraaz parhez se jate hain
Or rohani amraaz parhezgari se
Read also: Mola Ali Quotes
Best New Short Aqwal e Zareen 10+ Golden Words
- aqalmand banna chor do buhat kuch sikh jao gaiy
- gussa hamesha bewaqoofi se shuru hota hai aur sharmindagi par khatam hota ha
- daulat ki asal khobi ye hai keh vo insaan kay pass hamesha nahi rehti aur agar reh jaye tu insaan nahi rehta
- jo naqabil e bardasht ho usy bardasht karna haqiqi bardasht hai
- qadar karni ho tu zindagi main karo chehry say kafan uthaty waqt tu nafrat karne wale bhi ro party hain